Thursday, May 21, 2009

EK KAVITA

Ek Adami Tha Yahi Kahi, Jane Kidhar Gaya?Suraj Si Aag Thi, Dariya Ka Josh Tha,Nadi Sa Chanchal Aur Ped Sa Nirdosh ThaHar Ek Dil Ke Kisi Kone Me Rahata Tha,Har Jagah Mojood Tha,Insaniyat Uski Sakla Thi,Sarafat Uska Libas,Aur Sachhai Uska Wajood Tha.Akhari Bar Usko Mohandas Karamchnd Gandhi Ne Manaya Tha,Poori Duniya Ko Uska Wajood Samjaya Tha.Phir Najane Kaha Kho Gaya?Kabhi Kabhi Kisi Gaon Ke Kone Me Dikh Jata hai,Phir Wapis Kho Jata Hai, Kahi Tik Kar Rahta Nahi Ab Wo,Kisi PURUSH Ko Wo Dikhe To Use Sabhalna Aur Kahana," Tumhare Bagair Sab Ulze Pade Hai,Sab Bhtakte Ja Rahe Hai Apni Raho Se.Har Taraf Becheni Aur Bekarari Hai,Lalach Aur Makkari Chhlkti Hai Nigaho Se.Hame Apni Jamin Chaiye, Hame Bhi Sukoon Chahiye,Jo Bebas Na Ho Kabhi Hame Aisa Khoon Chahiye.Tumhari Badi Jaroorat Hai Yaha Par. Jaldi Se Wapis Aao Aur hame sambhloKahi Hum Apani Hi Nazro Se Gir Na Jaye......"

No comments: